About Me

My photo
Seoul, South Korea
A novice writer trying to re-assemble the words and think whether it changes their meaning.....

Thursday, November 10, 2011

Kabhi Main Chala Tha.....

Kabhi na kabhi to main chala tha....
jaane kab that vo lamhaa jab main khud se mila tha
hazaaron rang hain zindagi ke... hazaaron pehlu... hazaaron pal...
koi kabhi kahin.... humein bhi mila tha...
chalte chalte jaane kahan aa gaye... kuch pal choote kuch saath aa gaye
kabhi na kabhi to main chala tha....

acche bure, nasamajh-samajhdar, chalak-bhole.....
har tarah ke logon se main bhi mila tha
kabhi na kabhi to main chala tha...

saalon ki zindagi ko samajhne chala tha...
khwab to sabhi dekhte hain..... unhein poora karne sabki tarah
main bhi chala tha... mushkilon se kabhi kabhi main bhi dara tha.....

dorahon pe pahuch kar... doston se bichhad kar...
khud ko dhoondte hue... tinke samet-te hue.. mann mein josh bhara tha...
har rah mein kisi tarah main bhi chala tha....

kya zindagi hai... kya log kehte hain... inse farq mujhe bhi pada tha...
insaano ki bheed mein kuch sachhe dost kabhi kabhi yuhin mil jaate hain
kabhi kabhi vo saath rehte hain.... kabhi kadmo ke nishaan ban jate hain...

Koi aake kehde mujhe... sab kuch to hai ek dhoke jaisa...
sach to hai mere mann mein chupa... use dhoond lun to dekhun zara
raaste mere sahi the... ya galat raaston pe bhi main chala tha....

kabhi koi dil ke kareeb aaya tha... par humne dil ko bahut samjhaya tha..
Us dorahe ka raaz main na samajh paya tha...
kaun jaane har faisla maine hi liya... kuch faisle na le kar bhi
pyaar bhara dil humne dukhaya tha.....

Jab main khud se mil paya.... bahut si baatein samajh paya....
par jo beet chuka hai us pal ko nahi chura paya...
sabse gehra sach jo main samajh paya.... is zindagi ko koi na samajh paya
har waqt sang rehta hai koi saya...
chalte chalo chalte chalo.... har ek lamha to koi bhi na jeet paya
Jeet jaane par bhi ... kabhi kabhi main samajh na paya tha...
kabhi na kabhi main khud se mila tha.....
kahin na kahin main to chala tha.......

5 comments:

Saru Singhal said...

You are in a mood these days...:) Lovely work...
One request, can you write your hindi poems in hindi?

DJ said...

@Saru : Thanks once again for your lovely comment....

I have to really thank you as you appreciate my writings... and actually motivate me :)

I would certainly write the hindi ones in hindi from now on... would also change the old one prolly .. :)

sakshi said...

very nice poem.. :)

DJ said...
This comment has been removed by the author.
DJ said...

@Sakshi : Thanks ...!!! :)
I am glad you liked it...