About Me

My photo
Seoul, South Korea
A novice writer trying to re-assemble the words and think whether it changes their meaning.....

Thursday, April 14, 2011

Kuch Shabd Dil Se.....

zindagi ki kitaab mein kuch shabd dhundla se jaate hain
chah kar bhi hum unhein padh nahi paate hain......

ye raasta zindagi ka bahut bahut lamba aur anjaana sa lagta hai
fir bhi har koi humein jaana pehchana sa lagta hai...

fir kyun sirf kisi kisi ki khushi mein khushi mehsoos hoti hai
aur aise logo ki zindagi mein bahut kami mehsoos hoti hai...

na jaane kyun main sabko khush karna chahta hun....
is zindagi ka matlab samajhna chahta hun...
har dard mein rahat chahta hun....
us khuda ko mehsoos karna chahta hun....

chalte hue rah mein mushkilein bhi aati hain
tab logo ki kahi hui baatein yaad aati hain
mushkilon ka saamna karna aasan nahi hai
par jo mushkilon se dar jaye vo sachha insaan nahi hai

andhera kabhi kabhi bahut darata hai...
par kabhi kabhi yun hi akelepan mein dost ban jaata hai...

kuch kar dikhaane ki chah bahut baar mann mein aati hai...
par hamesha dil ko chu kar hi laut jaati hai...

mere khwaab kabhi poore honge ya nahi ye main nahi jaanta
ya shayad khwaab bhi zindagi ke saath badal jaate hain....

har ghadi ek dost ki talaash rehti hai...
par vo samne bhi ho to hum nahi pehchaan paate hain...

dil aur dimaag kabhi ek si baat nahi batate hain..
kitni bhi koshish kar lo par ye bahut satate hain...

kisi aur ko kya samajhne ki koshish karein zindagi mein...
khud ko smajah paate to vo saare shabd padh paate...

jo zindagi ki kitaab mein dhundla se jaate hain......................