About Me

My photo
Seoul, South Korea
A novice writer trying to re-assemble the words and think whether it changes their meaning.....

Sunday, July 3, 2011

KHUSHI

Ae khushi ab to lag jaa gale……

Sahi rah pe to na the hum hamesha chale….. par kaun janta hai ???

Kaunsi rah sahi hai aur kaun si galat, yahi to sawaal hai....

Har waqt aaj mein jeene ki koshish karte rahe…. Par kaun jaanta hai ??

Vo aaj mein jeena aane waale kal ke liye tha, ya ye sirf mera khayaal hai…

Dil ki gehraiyon mein hamesha sahi dhoondne ki koshish karte rahe….

Par kaun jaanta hai ???, ktina gehra hai ye dil aur kahan tak jaana hai…..

Bahut se log zindagi mein aaye, kuch thaire aur kuch chale gaye….

Kabhi aawaz lagane ka khayaal aaya par hum sochte hi reh gaye….

Akelapan kabhi accha lagne laga to hum usmein kho se gaye…..

Par kabhi lagne laga ki ye dost kuch achha nahi hai….

Par kaun jaanta hai, hum to bas apne mann ki karte chale gaye….

Sachi khushi kise kehte hain, ye shayad hum kabhi samajh hi nahi paaye

Isiliye jhooti khushiyon ko bhi hum hamesha sachha hi maante chale gaye….

Bahut se sawaal hain par ek jawaab to jaanta hun…..

Vo khushi sachi khushi nahi jab talak aankh se aansun na nikale…

Isliye hum hamesha apna carvan sachhi khushi ki talaash mein chalaate chale gaye………….!!

No comments: